Qamar Jalalabadi

Ghazals & Nazms

Selected Works

Kam na thi lazzaten gunahon me Kyun bane paarsaa Khuda jane.

Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe Duniya ka har nazara nigahon se chheen le Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe
Dil pareshaan hai raat bhaari hai Raat kya umra yun guzari ha Wo haseen fitratan shikari hai Dena awaaz kiski baari hai Maut kya Zindagi ko maaregi Zindagi Zindagi ki maari hai Subah aayi nahi bulayi gayi Raat guzri nahi guzaari hai Dil be-muda-a kissika nahi Saara sansaar hi bhikhari hai Uska jalwa na dekh paaya koyi pardadaari ki pardadaari hai
Aa gaya dil kissipe aana tha Aapka husn ik bahana tha Iptada-e-shabab bhi kya thi Chand taaron me aashiyana tha Tinke tinke se mil ke roye hum Jaisa har tinka aashiyana tha Ab to hai kunj kafas se badhtar Aap rahte to aashiyana tha Barq ka shukriya ada kar loon Kitna be-noor aashiyana tha Maine ghutkar kafas me dam todaa Saamne mera aashiyana tha Barq ko aasmaan se aana pada Ek chhotasa aashiyana tha Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen Na kafas tha na aashiyana tha
Ik haseen lajawaab dekha hai Raat ko Aaftaab dekha hai Gora mukhda yeh surkh gaal tere Chandni me gulaab dekha hai Nargisi aankh zulf shabrangi Baadlon ka jawab dekha hai Jhoomte jaamsa chhalakta badan Ek jaam-e-sharaab dekha hai Hum to milkar na mil sake tumko Tumko dekha ke khwab dekha hai
Yaarab tere karam se yeh sauda karenge hum Duniya me pi ke khald me tauba karenge hu Yun rasme-e-husn-o-ishq ko ruswa karenge hum Tum muntazir rahoge na aaya karenge hum Aaine me khud apna tamasha karenge hum Yun bhi shab-e-firaaq guzaara karenge hum Jab taq na nazar aaoge aisa karenge hum Har roz ik Khuda ko taraasha karenge hum Tujhko bithake doorse dekha karenge hum Yun bhi tere guroorse khela karenge hum Jaa tujhse beniyaaz huye Bhule tera zikra Tu chahega to teri Tamanna karenge hum
Yaar aata nazar nahi aata Dard jaata nazar nahi aata Jholi phaila chuke Mohabbat ki Koyi Daata nazar nahi aata Ab to koyi bhi kuve-ulfat me Aata jaata nazar nahi aata Log kahte hain geet hai Jeewan Koyi gaata nazar nahi aata Ab yakeen ho chala ke unka haath Haath aata nazar nahi aata
Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega Meri jaan ban kar wo ik din meri jaan le jaega Aakhri hichki se pahle chaaragar se poochloon Jo nazar aata nahi rishta kahan le jaega Maikada daer-o-haram yaan koyi diwanoki bazm Tujhse yeh bichhada hua lamha kahan le jaega Voh jo pichhle saal sab kheton ko sona de gaya Ab ke wo toofan kis kis ka makaan le jaega Wo chala jaega mujhse karke iqraar-e-wafa Tod jaega safina baadbaan le jaega Ishq me isne to jalana hi nahi seekha Kabhi Aag de jaega mujhko khud dhuan le jaega
Chhotisi berukhi pe shikayat ki baat hai Aur voh bhi is liye ki Mohabbat ki baat hai Maine kaha ke aaye ho kitne dinon ke baad Kahne lage huzoor yeh fursat ki baat hai Maine kaha ke mil ke bhi hum kyun na mil sake Kahne lage huzoor yeh kismat ki baat hai Maine kaha ke rahte ho har baat par khafa Kahne lage huzoor yeh qurbatki baat hai Maine kaha ke dete hain dil tum bhi laao dil Kahne lage ke yeh to tijarat ki baat hai Maine kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam Kahne lage ke yeh to tabiyat ki baat hai
Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma le liya tune Magar jo jiske kaabil hai wahi usko diya tune Kissiko deke daulat tune uski chheen li neenden Kissiko muflisi dekar bharosa de diya tune Kissiko ishq dekar saari duniya loot li uski kissiko sabr dekar saara aalam de diya tune Main apni zaat par jab gaur karta hoon to kahta hoon Bahot kam ke mai kaabil tha bahot kuch de diya tune
Main badi der me samjhe hoon yeh kya hoti hai Zindagi apni hi gumbad ki saza hoti hai Waqt tal jata hai jab lab pe dua hoti hai Wo bhi tab hota hai jab Uski raza hoti hai Wasla to marz-e-mohabbat hai Mohabbat walo Khud Mohabbat hi Mohabbat ka sila hoti hai
Humnashin kaise bataun jazba-e-ulfat kya hai Khud bataegi Mohabbat ke Mohabbat kya hai Ishq ko log kyun majahi samajh baithe hain Gar nahi ishq Haqueequat to Haqueequat kya hai Ishq ko bhoolke jannat ki hai duniya ko talaash Ishq ki aag gar dozakh hai to jannat kya hai Aaya parwana gira shama par jal jal ke mara Tu abhi soch raha hai ke Mohabbat kya hai Abhi wo aaye the yaa unka khayal aaya tha Ai mere shauk zara bol haqeequat kya hai Meri badli huyi rangat meri haalat dekho Dosto ab to samajh lo ke Mohabbat kya hai
Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala Jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala Jo na samjhe wo banate raha laakhon baatein Hua khamosh teri baat samajhne wala Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi Khud sawaali hai sawalaat samajhne wala

Sung by Jagjit Singh

Suna tha ki voh aayenge anjuman me Suna tha ki unse mulaquat hogi Hume kya pata tha, hume kya khabar thi Na yeh baat hogi, na voh baat hogi… Mai kahta hoon is dil ko dil me basa lo Voh kahte hain hum se nigahen mila lo Nigahon ko maloom kya dil ki haalat Nigahon nigahon me kya baat hogi Hume kheench kar ishq laaya hai tera Tere dar pe hum ne lagaaya hai deraa Hume hoga jab tak na deedaar tera Yahin subah hogi yahin shaam hogi Mohabbat ka jab hum ne chhedaa fasaana To gore se chehre pe aaya paseena Jo nikle the ghar se to kya jaante the Ki yun dhhoop me aaj barsaat hogi… Suna tha ke voh aayenge anjuman me…