QJ Ghazals

Qamar Jalalabadi Ki Chuninda Ghazlen aur Nazme

Kam na thi lazzaten gunahon me
Kyun bane paarsaa Khuda jane.
Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe
Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe

Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi
Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe

Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera
Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe

Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe

Duniya ka har nazara nigahon se chheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe
Dil pareshaan hai raat bhaari hai
Raat kya umra yun guzari ha

Wo haseen fitratan shikari hai
Dena awaaz kiski baari hai

Maut kya Zindagi ko maaregi
Zindagi Zindagi ki maari hai

Subah aayi nahi bulayi gayi
Raat guzri nahi guzaari hai

Dil be-muda-a kissika nahi
Saara sansaar hi bhikhari hai

Uska jalwa na dekh paaya koyi
pardadaari ki pardadaari hai
Aa gaya dil kissipe aana tha
Aapka husn ik bahana tha

Iptada-e-shabab bhi kya thi
Chand taaron me aashiyana tha

Tinke tinke se mil ke roye hum
Jaisa har tinka aashiyana tha

Ab to hai kunj kafas se badhtar
Aap rahte to aashiyana tha

Barq ka shukriya ada kar loon
Kitna be-noor aashiyana tha

Maine ghutkar kafas me dam todaa
Saamne mera aashiyana tha

Barq ko aasmaan se aana pada
Ek chhotasa aashiyana tha

Chand ghadiyaan kuch aisi bhi guzreen
Na kafas tha na aashiyana tha
Ik haseen lajawaab dekha hai
Raat ko Aaftaab dekha hai

Gora mukhda yeh surkh gaal tere
Chandni me gulaab dekha hai

Nargisi aankh zulf shabrangi
Baadlon ka jawab dekha hai

Jhoomte jaamsa chhalakta badan
Ek jaam-e-sharaab dekha hai

Hum to milkar na mil sake tumko
Tumko dekha ke khwab dekha hai
Yaarab tere karam se yeh sauda karenge hum
Duniya me pi ke khald me tauba karenge hu

Yun rasme-e-husn-o-ishq ko ruswa karenge hum
Tum muntazir rahoge na aaya karenge hum

Aaine me khud apna tamasha karenge hum
Yun bhi shab-e-firaaq guzaara karenge hum

Jab taq na nazar aaoge aisa karenge hum
Har roz ik Khuda ko taraasha karenge hum

Tujhko bithake doorse dekha karenge hum
Yun bhi tere guroorse khela karenge hum

Jaa tujhse beniyaaz huye Bhule tera zikra
Tu chahega to teri Tamanna karenge hum
Yaar aata nazar nahi aata
Dard jaata nazar nahi aata

Jholi phaila chuke Mohabbat ki
Koyi Daata nazar nahi aata

Ab to koyi bhi kuve-ulfat me
Aata jaata nazar nahi aata

Log kahte hain geet hai Jeewan
Koyi gaata nazar nahi aata

Ab yakeen ho chala ke unka haath
Haath aata nazar nahi aata
Bakhabar tha ik nazarme do jahan le jaega
Meri jaan ban kar wo ik din meri jaan le jaega

Aakhri hichki se pahle chaaragar se poochloon
Jo nazar aata nahi rishta kahan le jaega

Maikada daer-o-haram yaan koyi diwanoki bazm
Tujhse yeh bichhada hua lamha kahan le jaega

Voh jo pichhle saal sab kheton ko sona de gaya
Ab ke wo toofan kis kis ka makaan le jaega

Wo chala jaega mujhse karke iqraar-e-wafa
Tod jaega safina baadbaan le jaega

Ishq me isne to jalana hi nahi seekha Kabhi
Aag de jaega mujhko khud dhuan le jaega
Chhotisi berukhi pe shikayat ki baat hai
Aur voh bhi is liye ki Mohabbat ki baat hai

Maine kaha ke aaye ho kitne dinon ke baad
Kahne lage huzoor yeh fursat ki baat hai

Maine kaha ke mil ke bhi hum kyun na mil sake
Kahne lage huzoor yeh kismat ki baat hai

Maine kaha ke rahte ho har baat par khafa
Kahne lage huzoor yeh qurbatki baat hai

Maine kaha ke dete hain dil tum bhi laao dil
Kahne lage ke yeh to tijarat ki baat hai

Maine kaha kabhi hai sitam aur kabhi karam
Kahne lage ke yeh to tabiyat ki baat hai
Hai saare jag ka tu Daata yeh zimma le liya tune
Magar jo jiske kaabil hai wahi usko diya tune

Kissiko deke daulat tune uski chheen li neenden
Kissiko muflisi dekar bharosa de diya tune

Kissiko ishq dekar saari duniya loot li uski
kissiko sabr dekar saara aalam de diya tune

Main apni zaat par jab gaur karta hoon to kahta hoon
Bahot kam ke mai kaabil tha bahot kuch de diya tune
Main badi der me samjhe hoon yeh kya hoti hai
Zindagi apni hi gumbad ki saza hoti hai

Waqt tal jata hai jab lab pe dua hoti hai
Wo bhi tab hota hai jab Uski raza hoti hai

Wasla to marz-e-mohabbat hai Mohabbat walo
Khud Mohabbat hi Mohabbat ka sila hoti hai
Humnashin kaise bataun jazba-e-ulfat kya hai
Khud bataegi Mohabbat ke Mohabbat kya hai

Ishq ko log kyun majahi samajh baithe hain
Gar nahi ishq Haqueequat to Haqueequat kya hai

Ishq ko bhoolke jannat ki hai duniya ko talaash
Ishq ki aag gar dozakh hai to jannat kya hai

Aaya parwana gira shama par jal jal ke mara
Tu abhi soch raha hai ke Mohabbat kya hai

Abhi wo aaye the yaa unka khayal aaya tha
Ai mere shauk zara bol haqeequat kya hai

Meri badli huyi rangat meri haalat dekho
Dosto ab to samajh lo ke Mohabbat kya hai
Wo sitamgar hai khayalaat samajhne wala
Mujhse pahle mere jazbaat samajhne wala

Maine rakha hai hamesha hi tabbassum lab par
Ro diya kyun mere haalaat samajhne wala

Jo na samjhe teri manzil wo yunhi chalta raha
Ruk gaya tere muqamaat samajhne wala

Jo na samjhe wo banate raha laakhon baatein
Hua khamosh teri baat samajhne wala

Raaz-e-taqdeer pe kya roshni daalega koyi
Khud sawaali hai sawalaat samajhne wala
Ghazal sung by Jagjit Singh at Wembley Hall, London

Suna tha ki voh aayenge anjuman me
Suna tha ki unse mulaquat hogi
Hume kya pata tha,hume kya khabar thi
Na yeh baat hogi,na voh baat hogi…

Mai kahta hoon is dil ko dil me basa lo
Voh kahte hain hum se nigahen mila lo
Nigahon ko maloom kya dil ki haalat
Nigahon nigahon me kya baat hogi

Hume kheench kar ishq laaya hai tera
Tere dar pe hum ne lagaaya hai deraa
Hume hoga jab tak na deedaar tera
Yahin subah hogi yahin shaam hogi

Mohabbat ka jab hum ne chhedaa fasaana
To gore se chehre pe aaya paseena
Jo nikle the ghar se to kya jaante the
Ki yun dhhoop me aaj barsaat hogi…

Suna tha ke voh aayenge anjuman me…